"Those who claim themselves to be highly practical do achieve in life but not in the Life-Time!"
...............Ankur
"Those who claim themselves to be highly practical do achieve in life but not in the Life-Time!"
...............Ankur
Madyam Madyam paschim ki aur,
chale mera purav ka dhwaj.
Vikrant shama aur shanti ka,
Sandesh deta mera bharat bhav.
Vigyan shati na ho jaye,
yahi kehta mere purav ka parv.
Naitikta ko gati hai deta,
Mera Bharat bhavya shabdh.
Aaakul vyom ke madhur swar,
pawan hai meri mati se bhav.
Aundhi aandhi main tika hua hai,
Yeh swar,jo kondhe sa utsav.
Aaj milan,kal hai vismrat,
Kaun gali ka khel ajab?
Sab ko jode hi rakhta,
Mera bharat apporva hai bhav.
..........Ankur
O mali! mere sapno ko panapne to do,
Dhar Darati ki chube bahaut hai,
Muzhe apno se gale lagne to do!
Itihaas gavah hai,
Main yugon se teri bhook mitati aayi hun,
par aaj vasant ke nirmal jhokon ko,
Muzhse takrane to do!
Tere Pasine ki mahak ka,
swad hi chakti aai hun.
Aaj jara gili mitti ki,
Sondh jara chakhne to do!
Ek Vaisya sa tu muzhko,
Roz aakhon se takta raha.
Kuch waqt udhari main dekar,
Muzho suraj se to milne to do.
O Mali! Mere sapnon ko panapne to do...
.......................Ankur