Wednesday, February 27, 2008

Ab is Bala ko.....

Ab is bala ko,
Apne sapne tau bunne do,
Vyapar ki is mandi main,
Usse chain tau lene do!

Bhaybhit vyabhichar,
Vivadh Prakar,
Uddualit hai,
uske prakrat Vyabhaar!

Ast Surya ka pranshchinh?
Pratidin daman santa hai.
Nirmam aagan ki chaukat par,
Ek-nav pran dam bharta hai.

Is Naari ki Naadi main,
Rakt wahi tau behta hai,
Jo Ham-Tumko,he Manav!
Saidav hi jeevit rakhta hai.

Ab is bala ko,
Apne sapne ko bunne do.

...............Ankur

No comments: