Monday, July 30, 2007

Ab..........

Ab,

Hum Gum se tasalli Lete hai,
Nirjeeh Awaaz aur Shithil Tan.
Vaadon ki Vakalat Dhoka de gayi,
Muskil yesh pal,hai khud se Anban.

Bewaki Hamari ,jo sir chad bolti thi,
Gahrate Badal,Gahare sagar ke raaz khoti thi.
Aaj thar-tharati,jaane kahan dupak jaati hai,
Aahat ho teri,taash ke patton ki tarah bhikhar jaati hai.

Who aankhen jo, gairon ko bhi,kabhi sharmati thi,
Jo khul jaayen,tau ghor kayamat laati thi.
Aaj,befikra ho,apno ke hi teer sahti hai,
Yeh teri nazaron ka kalam hai,ki bheegi-bheegi si rahtin hai.

Ab,khayalon ne bhi adalat dekh lee hai,
Mohlat ki miyad kaise bhadwaye.
Ab akele nahi,akelapan bhi saath hai,
Tu hi saaza-E-maut de,bas yahi fariyaad hai.

------------Ankur --------

No comments: