Monday, July 30, 2007

Tanhai Ki Kalam................

Tanhai Ki Kalam…………

Jam kar baatein,bewafai ke Jaam,
Maikhane Lut gaye,hum huye badnam.
Ab paimano ki ginti,deti hai,Uljhan,
Bekhauf hai mann,chache saans hi chode jivan.

Mez per sazi,pyalon ki katar,
Jaane kyon jodti,kisi bhasha ke Taar.
Beparda ho,samzhaye woh nirakar saaki,
Bewaqt bhi aana hai,kyonki kuch jaam hai baaki.

Kaanon ke parde,ab dil se dharakte hai,
Diwali ke patakhe,bhi beawaaz lagte hai.
Gori surat pe teri,jo holi sa Rang tha,
O,Bedard,woh rang,mere aang aang tha.

Darwaazon ki Dastak,Maikhaon ki charcha,
Woh Mehmaanon ka aana aur Dawat aka Parcha.
Sab,muzhko,lautado,woh pane purane,
Tanhai ki Kalam se,likhlun guzare phasane.


-------------Ankur

No comments: