Thursday, September 13, 2007

Khud yu hi Khud ko Samzhaye re!

Vishwason ki Jama punji se,bikne laga Vishwas,
Suraj ki Nirmal Kirno main Durbhar hota pravas,
Neevon ki Gahrain main dhasta ab mera Itihas,
Nazron ki Nazdiki se,jab dhumil ho tera, Ahsas.

Vandan,Chandhan,Hai gujra Spandan,
AB Uddignn shan Jal-Jal gathe pal-pal,
Nirmal Vyakaran ka woh Suchir Swabhab,
Haklane ko bhi Nirbhar hai,Kaisa Tera Prabhav.

Gaganon ki lambhaiyon main,
Jo Bune the apne Aavlamb,
Ghaati ki Gahraion main,
Khada,Roku Girte Stambha.

Badal ki hi Halki Garmai,
Jo kabhi,Muzh par lahrayi thi,
Wahi Achanak,Agni Bankar,
Hai Muzko Pathraye see.

Fate Honth,ladkarayi Dwani,
Kaise Tuze Pukare re,
Mann ki Bhasha hai,Sateek Prabal,
Khud yu hi Khud ko Samzhaye re.
...............Ankur

No comments: